Saturday, 24 February 2018

Prepositions Tips and Tricks

Preposition Tricks | Basic English Grammar in Hindi


Hello Friends,
Mai Vikash aap sabhi ka aapki apni website Competitive English me bahut bahut swagat karta hu. Dosto agar aap Preposition ke rules padh padh ke pareshan ho gaye hai ya Preposition ki class attend kar karke bore ho gaye hai. Chahe aap English language seekh rahe hai ya Competitive Exams ki preparation kr rahe hai to aapko pareshan ki jarurat nhi hai kyuki aaj mai Preposition ki aisi TRICK leke aaya hu jisko sikhne ke badh I am 100% sure aap Preposition ka use bina kisi confusion ke aasani se kr sakte hai.
To Chaliye Dosto Shuru karte hain friends Ye Tricks seekhne se Pehle hum kuch examples dekhte hain.

Rahul ordered for a cup of tea. (X)
Rahul ordered a cup of tea.      (✓)


Dosto Ye sentence Dekhne Mein bilkul sahi lag raha hai isme Koi mistake nahi lag rahi hai lekin friends isme preposition ki mistake hai isme preposition for ka use hua hai. But friends ‘Order’ ke baad Kisi bhi Preposition ka use nahi hota hai.
Chaliye Ek Aur example dekhte hain

Mohan signed on the paper. (X)
Mohan signed the paper.     (✓)

Ye sentence Dekhne Mein bilkul sahi lag raha hai Koi mistake nahi lag rahi hai lekin friends isme preposition ki mistake hai isme preposition on ka use hua hai. But friends ‘Sign’ ke baad Kisi bhi Preposition ka use nahi hota hai.
Friends hame Pata Kaise chalega ki Kahan kahan par Preposition ka use nahi hota hai, Dekho friends English mein kuch ek Words hote Hain Jin ke sath preparation ka use nahi hota hai ab aap kahenge ki ye baat to Hame bhi Pata Hai, Humne books Mai pada hai ki kuch words ke sath Preposition ka use nahi hota hai toh Dosto Mai bata du aap ne keval Padha Hai unko Sikha nahi hai Aaj mai aapko aisi TRICK sikhane Wala Hoon Jisko seekhne ke baad Ye words  automatically Yaad ho jayenge Dosto sabse Pehle vo words dekhte hain Jin ke sath Preposition ka use nahi hota hai uske baad main aap ko yaad karne ki TRICK bataunga.

Words jinke sath preposition ka use nhi hota (Omission of Prepositions):-

Inform, Attack, Order, Pick, Violate, Sign, Obey, Assist, Accompany Resemble, Resist, Combat, Benefit, Afford, Love, Hate, Yesterday, Today, Tomorrow, Reach, Enter, Last year, Last month, Last week and Last day.

Inko Yaad Karne Ki TRICK:-

Ek baar sena ki tukdi ko ‘Inform’ kiya Gaya ki Aap Par ‘Attack’ hone wala hai. To jo officers the unhone ‘Order’ Diya ki Apne Hathiyar ‘Pick’ kar lo yani Apne Hathiyar uthalo kuch sainiko ne ‘Violate’ kar diya yani aagya ka ullanghan kar diya ya mana kar diya toh unko Kaha Gaya ki aap resign de do. Kuch sainiko ne us pr 'Sign' kar Diye, baki sab ne ‘Obey’ kiya, agya ka Palan Kiya Usi samay Unki ‘Assist’ ke liye sahayata ke liye Ek dusri tukdi unke ‘Accompany’ Ho Gayi to vo dono sena Mahabharat ki Sena ke ‘Resemble’ Thi Mahabharat ki sena ke saman dikh rahi thi toh Sabhi Ne Milkar Dushman ko ‘Resist’ Kiya unko roka, unke Saath yuddh Kiya ‘Combat’ kiya uska ‘Benefit’ Hua kharcha government Ne uthaya ‘Afford’ kiya toh main kah sakta Hoon I ‘Love’ my country I ‘Hate’ my enemy Chahe wo Kal(Yesterday) Ho aaj(Today) ho ya Aane Wala Kal(Tomorrow) Ho Chahe Mai Kahi bhi pahuch(Reach) Jau, Kahi bhi 'Enter' kar Jau Chahe Woh meri zindagi ka 'Last year' Ho, 'last month' Ho, 'Last week' ho ya 'Last day' ho.

So friends ab hum kuch Examples dekhte hai:-

I will meet you on tomorrow. (X)
I will meet you tomorrow. (✓)

He went to Delhi on yesterday. (X)
He went to Delhi yesterday. (✓)

He cannot afford for a car. (X)
He cannot afford a car. (✓)

Indian army is combating with China. (X)
Indian army is combating China. (✓)

Sachin did not try to resist from his attack. (X)
Sachin did not try to resist his attack. (✓)

He resembles with his brother. (X)
He resembles his brother. (✓)

His friend accompanied to him. (X)
His friend accompanied him. (✓)

They assist with each other in their works. (X)
They assist each other in their works. (✓)

You should obey of your parents. (X)
You should obey your parents. (✓)

China attacked on India. (X)
China attacked India. (✓)

Sonu informed to me yesterday. (X)
Sonu informed me yesterday. (✓)

So friends ye post aapko kaisi lagi aap comment kr ke batana. Agar aapko koi confusion hai to aap comment kr ke puch sakte h. Is post ko apne friends ke sath share kre Thank you so much for your support.

For more info Watch This Video:




Top 10 confusing Pair Words


Recommended Books for You:


4 comments:

  1. Thank u sir basic ke sath ap clear karte ho

    ReplyDelete
  2. Full discussion on pulwama attack and air-strike.
    Sir is sentence me koi correction hoga ki nhi

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete